Nabeel Ahmad Nabeel

hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
hamāre sar pe ye aksar ġhazab hotā hī rahtā hai
lahū ummīd kā ham se talab hotā hī rahtā hai
nikaltī hī nahīñ dil se kabhī yādeñ mohabbat kī
sitam us dil pe apne roz-o-shab hotā hī rahtā hai
purāne log rahte haiñ nigāhoñ meñ sadā merī
koī pesh-e-nazar nām-o-nasab hotā hī rahtā hai
koī sūrat tabāhī kī nikaltī rahtī hai aksar
ujaḌne kā koī taaza sabab hotā hī rahtā hai
hamesha ḳhuun karte haiñ hamārī ārzūoñ kā
tamannāoñ kā nazrāna talab hotā hī rahtā hai
ye laḌnā aur jhagaḌnā hai sabhī ma.amūl kī bāteñ
ḳhafā ham se vo aksar be-sabab hotā hī hotā hai
sitāroñ kī taraf uThtī hī rahtī hai nazar apnī
shab-e-tārīk meñ aisā to sab hotā hī rahtā hai
qayāmat hotī rahtī hai bapā ab shahr meñ har-sū
yahāñ mahshar bapā ai dost ab hotā hī rahtā hai
suḳhan pāmāl hotā hai 'nabīl' is ahd meñ har pal
yahāñ pāmāl har lamha adab hotā hī rahtā hai
Top Urdushayar.com