jalan ke ḳhauf se bāhar nikal sako to chalo
bichhī hai dhuup hī rastoñ meñ chal sako to chalo
yahī taqāzā hai is baar bhī mohabbat kā
badan pe gard-e-safar ko jo mal sako to chalo
jalā ke zillat-e-shab meñ hatheliyoñ pe charāġh
havā ke ruḳh ko agarche badal sako to chalo
milā hai izn-e-masāfat kaḌe añdheroñ meñ
kisī charāġh kī lau meñ jo Dhal sako to chalo
ḳhayāl rakhnā ajal āḳhirī paḌāv nahīñ
azāb-e-umr se bāhar nikal sako to chalo
bahut hī TeḌhā hai ai dost ishq kā rasta
baġhair rāh-numā ke sambhal sako to chalo
is ek shart pe gulshan meñ dāḳhila hogā
kisī gulāb ke sāñche meñ Dhal sako to chalo
har ek gaam pe bikhrī hai raakh sadiyoñ kī
'nabīl' ban ke sharāra jo jal sako to chalo