Nabeel Ahmad Nabeel

chaaron jaanib pagal-KHane lagte hain

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
chāroñ jānib pāgal-ḳhāne lagte haiñ
mausam aise hosh uḌāne lagte haiñ
malba girne lagtā hai sab kamre kā
jab terī tasvīr jalāne lagte haiñ
ghabrā ke is daur ke vahshī insāñ se
dīvāroñ ko raaz batāne lagte haiñ
aañkh uThā kar jab bhī dekhūñ peḌoñ ko
mujh ko mere dost purāne lagte haiñ
zehn meñ maazī jab bhī ghūmne lagtā hai
aañkh meñ kitne aañsū aane lagte haiñ
dil ke hāthoñ ho ke ham majbūr sadā
armānoñ kī laash uThāne lagte haiñ
patthar jaisī duniyā hai ḳhud-ġharzī hai
us ko kyuuñ kar dard sunāne lagte haiñ
saath mire vo mil kar chāñd sitāre bhī
hijr meñ tere niir bahāne lagte haiñ
yaar 'nabīl' unheñ maiñ jitnā bhūltā huuñ
mujh ko yaad vo utnā aane lagte haiñ
Top Urdushayar.com