Nabeel Ahmad Nabeel

dur kuchh ahl-e-junun ki be-qarari kijiye

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
duur kuchh ahl-e-junūñ kī be-qarārī kījiye
ho sake to un kī thoḌī ġham-gusārī kījiye
jin ke bistar se nahīñ jaatī koī silvaT kabhī
un kī āñkhoñ meñ vafā ke ḳhvāb jaarī kījiye
ishq kī qismat yahī hai ishq kā mansab yahī
jāgiye shab-bhar yūñhī aḳhtar-shumārī kījiye
nochiye zaḳhm-e-jigar ko aañkh bhar kar roiye
aur kab tak hijr meñ yuuñ āh-o-zārī kījiye
bhejiye koī bulāvā koī chiTThī bhejiye
apne un pardesiyoñ se shahar-dārī kījiye
log haiñ tayyār hijrat ke liye is shahr se
phir koī taaza nayā farmān jaarī kījiye
phir koī taaza bapā hone ko hai ik ma.arka
nahr-e-furāt-e-karbalā ko phir se jaarī kījiye
kaam aa.egā na koī mushkiloñ meñ dekhnā
jis qadar bhī dostoñ se vaz.a-dārī kījiye
tishna-e-takmīl Thahre baat na koī 'nabīl'
guftugū jitnī bhī hai dil meñ vo saarī kījiye
aa.egā kab saañs varna dūsrā tujh ko 'nabīl'
dil ke zaḳhmoñ kī na aise parda-dārī kījiye
Top Urdushayar.com