Nabeel Ahmad Nabeel

dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
dil dhaḌkanoñ meñ jaise dhaḌaktā usī kā thā
jaise mire vajūd pe chehra usī kā thā
rakhā huā thā jis ko zamāne se duur duur
har lab pe us kā tazkira charchā usī kā thā
aane diyā na chain kabhī ek pal mujhe
mere tasavvurāt meñ dhaḌkā usī kā thā
jis ne tamām shahr khañDar meñ badal diyā
sikka tamām shahr meñ chaltā usī kā thā
yuuñ to hazār zaḳhm mujhe aur bhī lage
lekin jo zaḳhm sab se thā gahrā usī kā thā
shiddat kī pyaas ne mujhe gherā to ye khulā
sahrā kā jo makīn thā dariyā usī kā thā
ham ko hai aaj tak usī ta.abīr kī talab
aayā thā kal 'nabīl' jo sapnā usī kā thā
raushan thā jis charāġh kī lau se badan 'nabīl'
mujh ko tamām-umr hī dhaḌkā usī kā thā
Top Urdushayar.com