Nabeel Ahmad Nabeel

le ke hathon mein mohabbat ke guhar aae hain

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
le ke hāthoñ meñ mohabbat ke guhar aa.e haiñ
ik nazar dekh tire ḳhāk-basar aa.e haiñ
ik ajab dhaḌkā dil-o-jāñ ko lagā rahtā hai
jab bhī pardes se ham lauT ke ghar aa.e haiñ
jis taraf bhī maiñ gayā maiñ ne jidhar bhī dekhā
zaḳhm kī tarah mujhe log nazar aa.e haiñ
nok-e-neza kī taraf ek nazar dekh zarā
kis bulandī pe vo ushshāq ke sar aa.e haiñ
mom ho jaa.e vo patthar kī tarah saḳht badan
apne nāloñ meñ kahāñ itne asar aa.e haiñ
sar-phirī āñdhī girāne use aa pahuñchī hai
aas ke peḌ pe jis dam se samar aa.e haiñ
jab se utrā hai safīna mirā sāhil pe 'nabīl'
mauj-dar-mauj kināre pe bhañvar aa.e haiñ
Top Urdushayar.com