kisī ko ḳhaar kisī saañs ko babūl kiyā
jo ham ne kār-e-mohabbat kiyā fuzūl kiyā
hamesha ḳhaak uḌaa.ī hai rāstoñ ne mirī
is intizār kī shiddat ne mujh ko dhuul kiyā
sajā ke rakh diyā kāñTā bhī mere pahlū meñ
kisī bahār ne mujh ko kabhī jo phuul kiyā
rah-e-hayāt meñ āsā.ishoñ ko Thukrā kar
tumhāre dard ko maiñ ne sadā qubūl kiyā
hamesha phūloñ ko badlā hai ḳhār-o-ḳhas meñ 'nabīl'
kisī bhī ḳhaar ko lekin kabhī na phuul kiyā