Nabeel Ahmad Nabeel

bujhti mashal ki iltija jaise

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
bujhtī mash.al kī iltijā jaise
log ham ko mile havā jaise
koī insāñ nazar nahīñ aatā
har bashar ho gayā ḳhudā jaise
haath kashkol kī tarah paa.e
lab mile ham ko iltijā jaise
kar diyā hai ḳhudā-e-vāhid ne
band ham par dar-e-duā jaise
gard-ālūd aise socheñ haiñ
koī ehsās ho ḳhafā jaise
akasr auqāt aise kaam kiye
ham ne maaoñ kī bad-duā jaise
aise lagtā hai un se apnā 'nabīl'
TuuT jā.egā rābta jaise
Top Urdushayar.com