Nabeel Ahmad Nabeel

tinke ka hath aaya sahaara ghalat ghalat

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
tinke kā haath aayā sahārā ġhalat ġhalat
mauj-e-talab ne paayā kinārā ġhalat ġhalat
sail-e-balā meñ Duub rahā thā maiñ jis ghaḌī
duniyā ke saath us ne pukārā ġhalat ġhalat
ham log jī rahe haiñ tire shahr meñ abhī
kiije na indirāj hamārā ġhalat ġhalat
chaltā hai dushmanoñ kī tarah mere saath jo
us ne kiyā hai mujh ko gavārā ġhalat ġhalat
koī bhī chiiz rahnī nahīñ tā-abad yahāñ
naqsha hai is jahān kā saarā ġhalat ġhalat
shāḳh-e-talab ko paanī diyā hai lahū nahīñ
ham ne har ek gul ko nikhārā ġhalat ġhalat
rātoñ kā iztirāb nahīñ yuuñ bhī jā sakā
ubhrā hai zulmatoñ meñ sitāra ġhalat ġhalat
ik ik varaq meñ ḳhauf kā mazmūn hai miyāñ
hai ziist kā har ek shumāra ġhalat ġhalat
dhokā diyā hai aa.ine ko us ne is tarah
zulfoñ ko us ne ruḳh pe sañvārā ġhalat ġhalat
ilzām de ke dāna-e-gandum kā ai 'nabīl'
us ne mujhe zamīñ pe utārā ġhalat ġhalat
Top Urdushayar.com