Nabeel Ahmad Nabeel

falak banaya gaya hai zamin banai gai

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
falak banāyā gayā hai zamīñ banā.ī ga.ī
amaañ kī koī jagah hī nahīñ banā.ī ga.ī
nikaltī kis tarah koī yaqīn kī sūrat
yaqīn kī koī sūrat nahīñ banā.ī ga.ī
chaleñge ham bhī mohabbat-nagar samajh ke use
gar aisī koī bhī bastī kahīñ banā.ī ga.ī
bujhe bujhe hue manzar vo jis maqām ke the
hamāre rahne kī sūrat vahīñ banā.ī ga.ī
jab us ko ġhaur se dekhā to aañkh bhar aa.ī
samajh rahā thā maiñ duniyā hasīñ banā.ī ga.ī
kasak sajā.ī ga.ī us meñ pahle sajdoñ kī
phir us ke ba.ad hamārī jabīñ banā.ī ga.ī
'nabīl' utārā gayā mujh ko āsmān se yuuñ
fasurda ḳhaak mirī ham-nashīñ banā.ī ga.ī
Top Urdushayar.com