sar jhukā kar shaah ke darbār meñ
chhed ham ne sau kiye dastār meñ
zindagānī jaisī ye anmol shai
kaaT dī hai hasrat-e-be-kār meñ
dāmanoñ meñ bharte haiñ mahrūmiyāñ
le ke ḳhālī jeb ham bāzār meñ
surḳhiyāñ ban kar ugaltī hai lahū
ādamiyat shaam ke aḳhbār meñ
sar ko Takrāte rahe ham umr-bhar
dar koī niklā nahīñ dīvār meñ
jis qadar bhartā rahā ūñchī uḌaan
aadmī girtā gayā me.aar meñ
sab parinde kar ga.e hijrat 'nabīl'
kaun baiThe sāya-e-ashjār meñ