ye kaisā kār-e-duniyā ho rahā hai
lahū insāñ kā sastā ho rahā hai
zarā hālāt kyā badle hamāre
jo apnā thā parāyā ho rahā hai
diloñ kā mail baḌhtā jā rahā hai
bashar andar se kaalā ho rahā hai
ghaTā.eñ ḳhushk hotī jā rahī haiñ
jo dariyā thā vo sahrā ho rahā hai
yahī hotā rahā hai ham se akasr
hamāre saath jaisā ho rahā hai
qadam paḌne lage haiñ sab ke ulTe
har ik rasta hī TeḌhā ho rahā hai
'nabīl'-ahmad kabhī dekhā hai tum ne
bashar kitnā akelā ho rahā hai