Dattatriya Kaifi

baadal umDe hain dhuan-dhaar ghaTa chhai hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
bādal umDe haiñ dhuāñ-dhār ghaTā chhā.ī hai
dhueñ tauba ke uḌāne ko bahār aa.ī hai
tā ki añgūr hare hoñ mire zaḳhm-e-dil ke
dhānī añgiyā mire dildār ne rañgvā.ī hai
tīra-baḳhtī se huī mujh ko ye ḳhiffat hāsil
dil-e-vahshat meñ suvaidā kī jagah paa.ī hai
ye chalan haiñ to tumheñ hashr se deñge tashbīh
log saffāk kaheñge baḌī rusvā.ī hai
maut ko ziist samajhtā huuñ maiñ betābī se
tirī furqat ne ye hālat mirī pahuñchā.ī hai
sabr hijrāñ meñ kare 'kaifī'-e-mahzūñ kab tak
āḳhir ai dost koī hadd-e-shakebā.ī hai
Top Urdushayar.com