Dattatriya Kaifi

hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
hai aks-e-ā.īna dil meñ kisī bilqīs-e-sānī kā
tasavvur hai mirā ustād bahzād aur maanī kā
ġhanīmat samjho ye mil baiThnā yārān-e-jānī kā
bharosā kyā hai duniyā meñ do-roza zindagānī kā
nazākat ho ga.ī zarbul-masal un kī zamāne meñ
bhalā ho yā ulūhī is hamārī saḳht-jānī kā
hai aks is chashm-e-pur-nam meñ kisī aabī dupaTTe kā
banāyā hai makāñ ham ne ajab paanī meñ paanī kā
ġhazab kā kaaT kar kartī haiñ adā.eñ us parī-vash kī
ubhāroñ par hai joban aur aalam hai javānī kā
umañgoñ kī kasak bechain kartī hai unheñ lekin
nazākat rok detī hai irāda naujavānī kā
shab-e-furqat jo ThanDe ThanDe ho jaa.e visāl apnā
gumāñ ho maut par apnī hayāt-e-jāvedānī kā
ye dil kyuuñ bujh gayā soz-e-firāq-e-sho.ala-rūyāñ meñ
tamāshā hai kiyā hai aag ne yaañ kaam paanī kā
ḳhayāl ik chashm-e-maigūñ kā sadā masrūr rakhtā hai
yahāñ kyā kaam hai saaqī sharāb-e-arġhavānī kā
yahī haiñ dekh lo vo shā.ir-e-mo.ajiz-bayāñ 'kaifī'
zamāne meñ hai charchā aaj jin kī ḳhush-bayānī kā
Top Urdushayar.com