Dattatriya Kaifi

saqiya kis ko hawas hai ki piyo aur pilao

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
sāqiyā kis ko havas hai ki piyo aur pilāo
ab vo dil hī na rahā aur umañgeñ na vo chaav
rahne de zikr ḳham-e-zulf-e-musalsal ko nadīm
us ke to dhyān se bhī hotā hai dil ko uljhāo
kūcha-e-ishq meñ jaanā na kabhī bhuul ke tum
hai vahāñ āb-e-dam-e-teġh kā har jā chhiḌkāv
kyā zarūrat ki hasīnoñ ke dahan kī ḳhātir
tum kamar bāñdh ke mulk-e-adamistāñ tak jaao
kyuuñ miTo naqsh-e-qadam saañ kisī raftār pe tum
baiThe biThlā.e ġharaz kyā hai ki ik hashr uThāo
kis tarah koī unheñ raah pe laa.e yārab
aur bargashta hue jaate haiñ jitnā samjhāo
nā-ḳhudā ban ke ḳhudā paar kar is kā beḌā
be-tarah phañs ga.ī hai hind kī mañjdhār meñ naav
ye nahīñ hai ki nahīñ qābiliyyat kuchh un meñ
himmateñ hārne kā ho gayā kuchh un kā subhāv
ġharb hai mashriq-e-ḳhurshed-e-ulūm-o-hikmat
ab ye lāzim hai ki lau apnī udhar ko hī lagāo
jo qadāmat pe uḌe baiThe haiñ vo haiñ gumrāh
un se bachnā haiñ ġhazab un ke utaar aur chaḌhāo
asia ke to tumheñ naam se kahnā hī nahīñ
vahī sūrat hai use kitnā hī ulTo palTāo
rasm-o-maz.hab se na tum ġhair bano aapas meñ
ho chalat meñ koī yā Thaah meñ sam par mal jaao
bas karo rahne bhī do vāz-o-nasīhat 'kaifī'
nāsehoñ ko to yahāñ paḌtī haiñ bāzār ke bhaav
Top Urdushayar.com