ḳhudā bhī taraf-dār niklā tumhārā
ye jhagḌā chukā ab hamārā tumhārā
buto shauq-e-dīdār se sar na chaḌhnā
nazārā kisī kā tamāshā tumhārā
baḌe bā-hayā aur parda-nashīñ ho
hai har kū-o-barzan meñ charchā tumhārā
ulū meñ hī jhūTā huuñ paimāñ-shikan huuñ
nahīñ ab to kuchh mujh se shikva tumhārā
dil aa.e na kyuuñ kyuuñ na īmān jaa.e
ye sūrat tumhārī ye ġhamza tumhārā
dil-o-jān 'kaifī' hai qurbān tum par
nahīñ is se inkār zebā tumhārā