Dattatriya Kaifi

koi na dekha ki wapas aaya KHuda ke ghar ek bar ja kar

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
koī na dekhā ki vāpas aayā ḳhudā ke ghar ek baar jā kar
vo dair-o-ka.aba meñ hai muqayyad ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
samajh na tū us ko be-navā.ī ye do-jahāñ kī hai bādshā.ī
ki daulat-e-ishq haath aa.ī matā-e-duniyā-o-dīñ luTā kar
jahāñ kī kā.enāt kyā hai umīd-e-uqbā meñ kyā dharā hai
barī haiñ jo us se vo na dekheñ idhar zarā aañkh bhī uThā kar
karam tirā tama.a par hai mabnī hai terī ḳhairāt is nafas par
ki suud meñ ashrafī milegī jo degā ik daam haath uThā kar
ye dil-lagī kyā hai bād-o-bārāñ hañsī hai ye yā sitam-zarīfī
guloñ ko miTTī meñ kyuuñ milāyā khilā khilā kar hañsā hañsā kar
na rah sake pesh-e-mehr-e-tābāñ gul aur shabnam meñ rabt-e-rasmī
maiñ kaT gayā kal jahāñ se 'kaifī' dil ek dildār se lagā kar
Top Urdushayar.com