Dattatriya Kaifi

ho ke aashiq jaan marne se churae kis liye

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
ho ke āshiq jaan marne se churā.e kis liye
mard-e-maidāñ jo na ho maidāñ meñ aa.e kis liye
jo dil-o-īmāñ na diiñ nazr un butoñ ko dekh kar
yā-ḳhudā vo log is duniyā meñ aa.e kis liye
hai ye andāz-e-hayā aur tarz-e-tamkīñ kyuuñ nahīñ
jo na hove chor vo āñkheñ churā.e kis liye
dekhiye kis jannatī ke aaj khulte haiñ nasīb
teġh kyuuñ tole haiñ ye chille chaḌhā.e kis liye
uñgliyāñ apne par uThvānī na hoñ manzūr to
vo kisī ko aam mahfil se uThā.e kis liye
us ke pech-o-ḳham se jīte-jī nikalnā hai muhāl
hazrat-e-'kaifī' tum is kūche meñ aa.e kis liye
Top Urdushayar.com