paanī siyāne dete haiñ kyā phūñk phūñk kar
dil soz-e-ġham ne ḳhaak kiyā phūñk phūñk kar
chhiḌkāv āb-e-teġh kā hai kū-e-yār meñ
paañv is zamīñ pe rakhiye zarā phūñk phūñk kar
dekhā na āñkh-bhar ke nazar ke ḳhayāl se
lete haiñ ham to naam tirā phūñk phūñk kar
hogā na saaf jhūTī havā-ḳhvāhiyoñ se dil
yuuñ dil kā kab ġhubār uḌā phūñk phūñk kar
bād-e-nafas se dāġh-e-dil-e-sard jal uThe
ham ne jilā diyā hai diyā phūñk phūñk kar
ulTā hai kyā is āh-e-sharar-bār kā asar
dil hī bujhā diyā hai mirā phūñk phūñk kar
piirī meñ aa.egī na kabhī tāqat-e-shabāb
ai piir laakh paare ko khā phūñk phūñk kar
shaitāñ kā dhokā zāhid-e-pur-fan pe kyuuñ na ho
piitā hai chhāchh dūdh-jalā phūñk phūñk kar
ātish-bayānī-e-lab-e-'kaifī' ne bazm meñ
dushman ke dil ko ḳhaak kiyā phūñk phūñk kar