fidā allāh kī ḳhilqat pe jis kā jism o jaañ hogā
vahī afsāna-e-hastī kā mīr-e-dāstāñ hogā
yaqīñ jis kā kalām-e-quds ajr-ul-mohsinīñ par ho
niko-kārī kā us kī qaa.el ik din kul jahāñ hogā
hayāt-e-jāvedānī pā.egā vo ishq-e-sādiq meñ
jo anqā kī tarah mādūm hogā be-nishāñ hogā
safar rāh-e-mohabbat kā chahal-qadmī samajhte ho
abhī dekhoge tum ik ik qadam par haft-ḳhvāñ hogā
hameñ gulzār-e-jannat hai azīzo bāġh-e-dil apnā
samajhte ho ki jāñ-parvar hai sehn-e-gulistāñ hogā
jo īsār aur hamdardī shi.ār apnā banā loge
to kāñTā bhī tumheñ rashk-e-gul-e-bāġh-e-jināñ hogā
ye qissa sham.a o parvāne kā bas mā-vashā tak hai
vo ho jā.egā bazm-ārā to phir koī kahāñ hogā
adā-e-farz bar-haq par khapā do dosto jaañ tak
ye vo saudā hai āḳhir ko nahīñ jis meñ ziyāñ hogā
azal se vā.izo ke qaul duniyā suntī aa.ī hai
amal kā vaqt bhī koī kabhī ai mehrbāñ hogā
taġhāful aur sitam ke badle hai andāz dildārī
sambhal ai shauq-e-be-pāyāñ tirā ab imtihāñ hogā
tahī-dastān-e-qismat ko to dam lenā qayāmat hai
yahāñ kuchh ho gayā insāf-e-āshiq jo vahāñ hogā
na samjho khel is ko bazm 'kaifī' meñ vo jaadū hai
yahāñ gar zāhid-e-ḳhushk aa.egā pīr-e-muġhāñ hogā