Dattatriya Kaifi

haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujhko

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
hāl-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko
haa.e jis vaqt nahīñ tāb-e-takallum mujh ko
ḳhaak ho kar bhī vahī hasrat-e-pā-bos rahī
ho ga.ī mauj-e-sabā mauj-e-talātum mujh ko
zo.af se haal ye patlā hai rah-e-ulfat meñ
sail-e-girya pe bhī hāsil hai taqaddum mujh ko
kahte haiñ zikr-e-shab-e-vasl pe kyā jāniye kyuuñ
kabhī sharm aur kabhī aatā hai tabassum mujh ko
mo.ajiza hazrat-e-īsā kā thā be-shubah durust
ki maiñ duniyā se gayā uTh jo kahā qum mujh ko
sail-e-girya kī badaulat ye huā ghar kā haal
ḳhaak tak bhī na milī bahar-e-tayammum mujh ko
un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hotī hai
taare āñkhoñ ke na kyuuñ hoveñ ye anjum mujh ko
hai gazī gāḌhā hī 'kaifī' kā shi.ār aur visār
nahīñ darkār hai ye atlas-o-qāqum mujh ko
Top Urdushayar.com