DhūñDhne se yuuñ to is duniyā meñ kyā miltā nahīñ
sach agar pūchho to sachchā āshnā miltā nahīñ
aap ke jo yaar bante haiñ vo haiñ matlab ke yaar
is zamāne meñ muhibb-e-bā-safā miltā nahīñ
sīratoñ meñ bhī hai insānoñ kī bāham iḳhtilāf
ek se sūrat meñ jaise dūsrā miltā nahīñ
dair o kaaba meñ bhaTakte phir rahe haiñ raat din
DhūñDhne se bhī to bandoñ ko ḳhudā miltā nahīñ
haiñ pareshāñ aur hairāñ jaa.eñ to jaa.eñ kidhar
rāh-gum-gashtoñ ko manzil kā patā miltā nahīñ
bul-havas dil kī tarah har rañg hai sarf-e-shikast
laala o gul meñ bhī rañg-e-der-pā miltā nahīñ
hai yahāñ to sair-e-gulzār-e-ḳhayāl nau-ba-nau
haañ asīro ham ko mazmūñ kuchh nayā miltā nahīñ
roiye ronā zamāne kā to 'kaifī' kis ke paas
koī is dil ke sivā dard-āshnā miltā nahīñ