Dattatriya Kaifi

qais ka tujh mein junun jazba-e-mansur nahin

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
qais kā tujh meñ junūñ jazba-e-mansūr nahīñ
varna manzil-gah-e-dildār to kuchh duur nahīñ
koh-o-vādī vahī bijlī vahī be-hoshī bhī
jalva lekin vo dil-afroz sar-e-tūr nahīñ
DhūñDne jā.ūñ kise jā.ūñ to maiñ jā.ūñ kahāñ
dil ke jo paas hai vo aañkh bhī kuchh duur nahīñ
pher meñ zāt-o-sifat ke na sarāsīma ho
nahīñ ma.alūm ki jauhar se araz duur nahīñ
nazar aatā nahīñ tujh ko to hai āñkhoñ kā qusūr
aks se shaḳhs haqīqat meñ zarā duur nahīñ
jalva-sāmāñ hai rah-e-ishq meñ zarra zarra
sāhab-e-zauq-e-nazar muntazir-e-tūr nahīñ
amr-e-haq harf-e-azal hai to ye fatve kaise
vo na.ī baat nahīñ maiñ koī mansūr nahīñ
jhuuT sach us ko hai yaksāñ vo hai apnī dhun kā
haq-shanāsī mire naqqād kā dastūr nahīñ
kibr hī se to azāzīl hai shaitān-e-rajīm
aadmī hai vahī insān jo maġhrūr nahīñ
kyā tamāshā hai liye jaate haiñ taqdīr kā naam
aur tadbīr se ik lahza bhī ma.azūr nahīñ
nahīñ taqdīr kī tahrīr se inkār magar
is meñ tadbīr muqaddar hai jo mazkūr nahīñ
aap taqdīr sudhar jā.egī tadbīr to kar
kaun kahtā hai ki insān ko maqdūr nahīñ
tū avāriz se avāriz kī hai tujh se parvāz
tū jo mutlaq nahīñ muḳhtār to majbūr nahīñ
zarre zarre ko hai ik farz vadī.at haq se
na samajh to koī qaisar nahīñ faġhfūr nahīñ
kār-gāh-e-amal is dahr ko vo samjhe haiñ
gul-o-bulbul ke karishmoñ se jo mātūr nahīñ
kal maiñ mil-jul ke rahe juz kā usī meñ hai vaqār
fard nāchīz hai gar shāmil-e-jamhūr nahīñ
kyuuñ khiche rahte haiñ ye shaiḳh-o-barahman bāham
dair ka.aba se jo haq par ho nazar duur nahīñ
adab-o-sher kā aalim hai vo vahdat-e-ā.īñ
ki jahāñ kāfir-o-dīñ-dār kā mazkūr nahīñ
had-e-juġhrāfiya se sher kī duniyā hai judā
duur kīlās se do gaz bhī yahāñ tuur nahīñ
kaif baaqī hai vo is meñ ki nahīñ jis ko ḳhumār
bāda-e-sher koī bāda-e-a.agūr nahīñ
sāqī-e-mast-nazar hai ye fusūñ yā e.ajāz
sab ko mad.hosh kiyā aap to maḳhmūr nahīñ
sāġhar ik aur bhī de pīr-e-muġhāñ 'kaifī' ko
nashsha-e-be-ḳhudī-e-ishq meñ vo chuur nahīñ
Top Urdushayar.com