ġham-e-duniyā nahīñ phir kaun sā ġham hai ham ko
fikr-o-andesha-e-uqbā se bhī ram hai ham ko
dahn-e-ġhuncha se paiġhām-e-vafā sunte haiñ
ġhāza-e-āriz-e-sad-hast-e-adam hai ham ko
qaul ye sach hai ki ḳhud-karda kā darmāñ kyā hai
dāvar-e-hashr pe nāhaq kā bharam hai ham ko
agle luqmoñ meñ nahīñ qand-e-mukarrar kā mazā
saḳht be-lutf-e-hayāt-e-paiham hai ham ko
ziist kī kashmakash aur marg kī qurbat kā alam
āmad-o-raft-e-nafas teġh-e-do-dam hai ham ko
baiThe baiThe jo kaTe phir tag-o-dau se hāsil
har-nafas jāda-e-hastī meñ qadam hai ham ko
zarre zarre meñ nazar aatī hai tasvīr-e-sanam
sar-ba-sar rū-kash-e-sad-dair-o-haram hai ham ko
bār-e-ġham baar se ehsāñ ke badal jaatā hai
tauq-e-gardan kashish-e-kāf-e-karam hai ham ko
hāl-e-dil likhte na logoñ kī zabāñ meñ paḌte
vaj.h-e-añgusht-numā.ī ye qalam hai ham ko
aañkh kyā Dāliye us gul pe jo kumhlā jaa.e
'kaifī' apnā hī ye dil bāġh-e-iram hai ham ko