Dattatriya Kaifi

pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
paanī paanī ho gayā josh abr-e-dariyā-bār kā
dekh kar tūfāñ hamāre dīda-hā-e-zār kā
chashm-e-hamdardī marīz-e-ishq in āñkhoñ se na rakh
kaam kyā nikle bhalā bīmār se bīmār kā
dil se hamdam ne rah-e-ulfat meñ ye dhokā diyā
kyā kare ab koī duniyā meñ bharosā yaar kā
dil diyā jis ko usī ne dāġh-e-māyūsī diyā
raas hī aayā na ham ko haa.e karnā pyaar kā
yā miTāyā us kā likhvāyā maiñ ḳhud hī miT gayā
ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yaar kā
ham ne 'kaifī' ḳhuub hī āñkheñ laḌā.īñ us se kal
kar diyā saarā hiran nashsha nigāh-e-yār kā
Top Urdushayar.com