Dattatriya Kaifi

ek tilism-e-ajab-numa hun main

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
ik tilism-e-ajab-numā huuñ maiñ
kyā batā.ūñ tumheñ ki kyā huuñ maiñ
hai zavāl apnā ik nishān-e-kamāl
bado kī tarah ghaT gayā huuñ maiñ
kyā nishāñ pūchhte ho tum merā
rah-e-gum-gashta kā patā huuñ maiñ
hai ye hairat ki huuñ tajassum-e-dard
aur har dard kī davā huuñ maiñ
merī shohrat hai merī gumnāmī
quvvat-e-bāzū-e-humā huuñ maiñ
rah-e-ulfat meñ naqsh-e-pā kī tarah
ḳhaak ho ho ke miT gayā huuñ maiñ
sāġhar-e-ishq kar gayā be-ḳhud
hosh kis ko nahīñ huuñ yā huuñ maiñ
ḳhaak samjho tum aabrū merī
dard-e-e.azāz kī bahā huuñ maiñ
dam ġhanīmat hai sāliko merā
jaras-e-daur kī sadā huuñ maiñ
huuñ surāhī meñ bāda-e-ahmar
aur mai-e-surḳh meñ nasha huuñ maiñ
jis tarah se kañval ho paanī meñ
ho ke duniyā meñ phir judā huuñ maiñ
ḳhāksārī hai merī jauhar-e-zāt
ḳhaak meñ misl-e-kīmiyā huuñ maiñ
dur durj-e-vafā kī aab huuñ maiñ
dil ke ā.īne kī safā huuñ maiñ
aaj hai merī dhaak aalam meñ
rū-shanās-e-shah-o-gadā huuñ maiñ
dhuum hai fann-e-sher meñ merī
qamar-e-ilm kī ziyā huuñ maiñ
likhūñ gar dāstān-e-ranj-o-alam
dil-e-ba-shikasta kī sadā huuñ maiñ
gar karūñ zikr-e-sāz-e-aish-o-tarab
tūtī-e-ḳhuld kī navā huuñ maiñ
gar maiñ likkhūñ bayān-e-arsa-e-razm
nāvak-e-tarkash qazā huuñ maiñ
ek is nazm par hai kyā mauqūf
nuur sham-e-ulūm kā huuñ maiñ
qadr hai merī qadr-e-ilm-o-hunar
kyā zamāne meñ dūsrā huuñ maiñ
huuñ to sab kuchh pe kuchh nahīñ 'kaifī'
sūrat-e-mauja-e-fanā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com