lutf ho hashr meñ kuchh baat banā.e na bane
aañkh bhī shoḳh sitam-gar se churā.e na bane
mujh ko uThvā to diyā us ne bharī mahfil se
kaun thā ye koī pūchhe to batā.e na bane
baat saarī ye hai vo zid pe aḌe baiThe haiñ
yaad kī bhuul ho to laakh jatā.e na bane
tum se ab kyā kaheñ vo chiiz hai dāġh-e-ġham-e-ishq
ki chhupā.e na chhupe aur dikhā.e na bane
sīdhī bātoñ pe hai matlūb sanad aur subūt
haiñ vo kaj-bahas zabāñ un se milā.e na bane
fat.h kā raaz hai sābit-qadmī aur himmat
kaam bhī hai koī aisā ki banā.e na bane
baat vo kah ga.e aa.e bhī to kis tarah yaqīñ
aur sehr is meñ kuchh aisā hai bhulā.e na bane
be-kasī kī hai musībat meñ shikāyat be-sūd
kab paḌā vaqt ki apne bhī parā.e na bane
ġham jo pyāre se mile kyuuñ na ho vo bhī pyārā
bhūlnā bhī use chāheñ to bhulā.e na bane
hai nazar meñ vo samāñ naqsh hai jis kā dil par
dard vo naam hai lab tak jise laa.e na bane
be-ḳhudī kā hai jahāñ be-asar naaz o niyāz
sarkashī bhī na chale sar bhī jhukā.e na bane
āh-e-sard aur bhī bhaḌkātī hai shola dil meñ
ye diyā vo hai jo phūñkoñ se bujhā.e na bane
sard āzād hai dil rashk o numā.ish hai abas
ḳhaar khaa.e na bane gul bhī khilā.e na bane
ain yak-rañgī hai nairañg-e-tamāshā har chand
ye vo uryānī kā parda hai uThā.e na bane
be-ḳhudī meñ bhī to 'kaifī' kī ye ḳhuddārī hai
hāl-e-dil pūchh bhī leñ vo to sunā.e na bane