kyuuñ kar chubhe na aañkh meñ gul ḳhaar kī tarah
bhaa.ī hai dil ko ek trahdār kī tarah
hālat talāsh-e-yār meñ ye ho ga.ī mirī
jaatā huuñ baiTh baiTh dil-e-zār kī tarah
kyā dil meñ ḳhaar rashk-e-ruḳh-e-yār kā chubhā
bigḌī huī hai kyuuñ gul-e-gulzār kī tarah
hai kuchh na kuchh vahāñ bhī asar dard-e-ishq kā
aañkh un kī bhī hai is dil-e-bīmār kī tarah
ai kaash mere tār-e-rag-e-jāñ ko toḌ de
qātil kī teġh yaar ke iqrār kī tarah
'kaifī' biThā.eñ āñkhoñ pe kyuuñ aap ko na log
chubhtī huī hai aap ke ash.ār kī tarah