Dattatriya Kaifi

zindagi ka kis liye matam rahe

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
zindagī kā kis liye mātam rahe
mulk bastā hai miTe yā ham rahe
dil rahe piirī meñ bhī terā javāñ
āḳhirī dam tak yahī dam-ḳham rahe
chāhiye insān kā dil ho ġhanī
paas maal o zar bahut yā kam rahe
kyā isī jannat kī ye tahrīs hai
jis meñ kuchh din hazrat-e-ādam rahe
vasl se matlab na rakh tū ishq kā
dam bhare jā dam meñ jab tak dam rahe
laag ik din ban ke rahtī hai lagāv
haañ lagāvaT kuchh na kuchh bāham rahe
ishq ne jis dil pe qabza kar liyā
phir kahāñ us meñ nashāt o ġham rahe
sharq se jab nuur chamkā to kahāñ
barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe
husn kī duniyā kā hai daa.em shabāb
hashr tak us kā yahī aalam rahe
hai surūr-e-husn 'kaifī' lā-yazāl
dar-ḳhur-e-zarf us meñ besh o kam rahe
Top Urdushayar.com