Dattatriya Kaifi

parda-dar hasti thi zat ke samundar mein

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
parda-dār hastī thī zaat ke samundar meñ
husn ḳhuub khul khelā is sifat ke manzar meñ
husn ishq meñ hai yā ishq husn meñ muzmar
jauhar aa.ine meñ yā ā.īna hai jauhar meñ
ishq-e-mahshar-ārā kī tuur par girī bijlī
husn-e-lan-tarānī ki rah sakā na chādar meñ
dekh ai tamāshā.ī gul hai rañg-o-bū bilkul
imtiyāz nā-mumkin hai arz se jauhar meñ
gul meñ aur bulbul meñ kaun jaane kyā guzrī
chashm-posh mastī thī is barahna manzar meñ
upchī banāte haiñ husn ko suḳhan go kyuuñ
kaaT in adāoñ kā kab hai teġh-o-ḳhanjar meñ
fart-e-soz-e-ulfat meñ dekh kar sakūñ dil kā
bijliyāñ machaltī haiñ bādaloñ ke mahshar meñ
chāragar ko hairat hai irtiqa-e-vahsaht se
paañv meñ jo chakkar thā aa rahā hai vo sar meñ
hasrat ārmān kī ho kahnā se gunjā.ish
hai vahī mire dil meñ hai vahī mire sar meñ
hoñ vo riñd yā suufī mast us kī dhun meñ haiñ
jaane kitne mai-ḳhāne bhar diye haiñ kausar meñ
charḳh kyā utar aayā aaj farsh-e-gītī par
riñd bhī haiñ chakkar meñ mai-kada bhī chakkar meñ
mai vo hosh par afgan aur nazar vo sahbā-pāsh
mast kyuuñ na ho 'kaifī' ek do hī sāġhar meñ
Top Urdushayar.com