dil kho gayā hamārā kisī se milā ke haath
ho dastaras to kāTiye duzd-e-hinā ke haath
ik tasma rah gayā hai rag-e-jāñ kā lagā huā
jhūTā paḌā hai aah kahāñ un kā jā ke haath
hāthoñ pe ham ko naag khilāne kī mashq hai
chhūte haiñ ham jabhī tire gesū baḌhā ke haath
phailā le paañv khol ke dil ai shab-e-firāq
baiThe haiñ ham bhī ziist se apnī uThā ke haath
kyuuñ hāth-pāoñ mere ḳhushī se na bhuul jaa.eñ
uñglī chubove haath meñ jab vo milā ke haath
vo aaḌe hāthoñ luuñ ki akaḌ saarī bhuul jaa.e
muñh kī na khānā shaiḳh-jī ham se milā ke haath
sarsoñ jamānī hāthoñ pe yuuñ siikh le koī
dil se milā liyā hai dil un se milā ke haath
ye bekasī ke hāthoñ huā hai hamārā haal
paiġhām bhejte haiñ ham un ko sabā ke haath
'kaifī' na nāzukī pe tum is but kī bhūlnā
dekhe nahīñ abhī kisī nāzuk-adā ke haath