Dattatriya Kaifi

bais koi aisa hai ki main kuchh nahin kahta

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
baa.is koī aisā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
varna mujhe saudā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ilzām ye jhūTā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyā vo mirī suntā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
jhūTā tirā kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
da.avā mirā sachchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
tū dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid
mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahnā jo na thā kah gayā dekho to DhiTā.ī
aur phir kahe jaatā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
vo zid pe tule baiThe haiñ kyā bahs se hāsil
mauqa hī ye aisā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
thī sam.a-ḳharāshī kī shikāyat kabhī un ko
ab suntā huuñ shikvā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
bad-goī sī bad-goī hai bohtān sā bohtān
aur us pe vo kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
maiñ kuchh kahūñ to haath vo kānoñ pe haiñ dharte
aur ulTā ye chheḌā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
aatā hai jo muñh par vo kahe jaate haiñ be-rok
aur us pe ye fiqrā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
maiñ dekh chukā huuñ unhīñ kah kah ke magar kyā
us kā hī natīja hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
maiñ kis se kahūñ kyā kahūñ suntā hai vahāñ kaun
us kā hī ye manshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ye tark-e-mohabbat nahīñ un se magar ai dost
rañj aisā hī pahuñchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
qaiñchī sī chalī chaltī hai dekho to zabāñ aur
us par bhī ye da.avā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
raaz un ke khule jaate haiñ ek ek sabhoñ par
aur us pe tamāshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
sach baat ke sunñe kī unheñ taab kahāñ hai
is se yahī achchhā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
bāteñ haiñ ki chhuriyāñ sī chubhī jaatī haiñ dil meñ
merā hī kaleja hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
maiñ kahne pe aa.uuñ to rulā kar unheñ chhoḌūñ
mat pūchh sabab kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
chup-chāp sunī an-sunī kar detā huuñ har baat
ġhairoñ meñ bhī charchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
nāzuk hai mizāj un kā yahāñ sach kī hai aadat
is samjhe sabab kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
bigḌā hai mizāj aur kahīñ tez na ho jaa.eñ
mujh ko yahī sāñsā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyuuñ apnī zabāñ se kahūñ pūchho tum unhīñ se
raaz is meñ nahīñ yā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
jo rañj azīzoñ ne diye kyā kahūñ 'kaifī'
ġhairat kā taqāzā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
Top Urdushayar.com