Dattatriya Kaifi

ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
ik ḳhvāb kā ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise
hai is meñ ik tilism tamannā kaheñ jise
ik shakl hai tafannun-e-taba-e-jamāl kī
is se ziyāda kuchh nahīñ duniyā kaheñ jise
ḳhamyāza hai karishma-parasti-e-dahr kā
ahl-e-zamāna ālam-e-uqbā kaheñ jise
ik ashk armīda-e-zabt-e-ġham-e-firāq
mauj-e-havā-e-shauq hai dariyā kaheñ jise
bā-vasf-e-zabt-e-rāz mohabbat hai āshkār
uqda hai dil kā aqd-e-surayyā kaheñ jise
barham-zan-e-hijāb hai ḳhud-raftagi-e-husn
ik shān-e-be-ḳhudī hai zuleḳhā kaheñ jise
aks-e-safā-e-qalb kā jauhar hai ā.īna
vārafta-e-jamāl ḳhud-ārā kaheñ jise
ram-sheva hai sanam to hai ram-āshnā ye dil
hāsil hai mujh ko aish muhayyā kaheñ jise
ḳhūnī kafan ye saiñt ke rakkhā hai kis liye
qātil vo hai ki rashk-e-masīhā kaheñ jise
sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ dahr kā vajūd
'kaifī' ye baat vo hai muammā kaheñ jise
Top Urdushayar.com