Dattatriya Kaifi

maine un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
maiñ ne un se jo kahā dhyān mirā kuchh bhī nahīñ
haa.e kis naaz se hañs hañs ke kahā kuchh bhī nahīñ
arz kī kuchh dil-e-āshiq kī ḳhabar hai to kahā
haañ nahīñ kuchh nahīñ bas kah to diyā kuchh bhī nahīñ
tū na aayā shab-e-va.ada to gayā kyā terā
mar miTe ham tire nazdīk huā kuchh bhī nahīñ
kyā hai anjām-e-mohabbat koī pūchhe ham se
jīte-jī ḳhaak meñ milne ke sivā kuchh bhī nahīñ
kis kī mehr aur vafā ab hai jafā se bhī gurez
kyuuñ na jal kar kaheñ ulfat meñ mazā kuchh bhī nahīñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ dil le gayā siine se nikāl
haath se ham ne diyā us ne liyā kuchh bhī nahīñ
mire allāh ye patthar ki butoñ kā dil hai
rahm rusvā.ī kā Dar ḳhauf-e-ḳhudā kuchh bhī nahīñ
kaun sā dard hai jis kā nahīñ duniyā meñ ilaaj
lekin is dard-e-mohabbat kī davā kuchh bhī nahīñ
dekhā 'kaifī' ko to be-sāḳhta yuuñ bol uThe
ab to bīmār-e-mohabbat meñ rahā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com