Dattatriya Kaifi

husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
husn-e-azal kā jalva hamārī nazar meñ hai
jo tuur par huā thā dil-e-dīda-var meñ hai
dair o haram meñ kis liye āvāra-gardiyāñ
jis kī tujhe talāsh hai vo dil ke ghar meñ hai
jo dekhne kī aañkh hai tujh ko nahīñ milī
vo nuur qad meñ varna shajar meñ hajar meñ hai
ḳhāmoshiyoñ meñ mahfil-e-anjum kī us ko dekh
hañgāma-mast kyuuñ tū numūd-e-sahar meñ hai
dekhā hai aur phir nahīñ aayā nazar tujhe
vo husn vo jalāl jo shams o qamar meñ hai
us ko natīje illat-e-ġhā.ī kī is ko dhun
farq is qadar hī be-ḳhabar o bā-ḳhabar meñ hai
DhūñDā hai jis ne us ne hī paayā sunā nahīñ
likkhā huā ye hukm qazā-o-qadar meñ hai
haañ haañ ḳhudā ḳhudā hī hai aur hai bashar bashar
is uqde kā jo hal hai vo qalb-e-bashar meñ hai
vo bhī to haiñ nazāra-e-kul juz meñ hai jinheñ
poshīda rāz-e-dīd to husn-e-nazar meñ hai
hai ishq juzv-e-lā-yatajazzā yaqīn jaan
ye qīmat-e-majāz-o-haqīqat ḳhatar meñ hai
kyā shauq-e-dīd tujh pe to ġhālib hai lutf-e-dīd
jo baat tere dil meñ hai apnī nazar meñ hai
nikle na phañs ke gesu-e-pur-pech-o-ḳham se dil
sāhil pe ḳhaak pahuñche jo kashtī bhañvar meñ hai
ulfat hai kis kī kaisī mohabbat kahāñ kā ishq
ma.adūm tū to fikr-e-dahān-o-kamar meñ hai
nāqis thī ibtidā to hai anjām-e-ishq bhī
be-rabtī mubtadā meñ jo thī vo ḳhabar meñ hai
'kaifī' masīh-e-sher haiñ ahbāb aur bhī
ik tujh se jān-e-tāza nahīñ is Dhachar meñ hai
Top Urdushayar.com