Dattatriya Kaifi

lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
lab-e-sāġhar se sun lo zāhido taqrīr-e-mai-ḳhāna
shikast-e-tauba hī hai yā na.ī ta.amīr-e-mai-ḳhāna
azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho
raqam hai ḳhatt-e-jām-e-bāda meñ taqdīr-e-mai-ḳhāna
to kyā ai zāhid-e-ḳhushk us kī azmat jaan saktā hai
qalam se mauj-e-kausar ke khichī tasvīr-e-mai-ḳhāna
ye mai-sajjāda rañgīñ-kun garat pīr-e-muġhāñ goyad
ki dānā-e-rumūz-e-do-jahāñ hai pīr-e-mai-ḳhāna
milā pāoge is kā silsila tasnīm-o-kausar se
bahut tūl-o-tavīl ai shaiḳh hai zanjīr-e-mai-ḳhāna
banā hai shīsha-e-mai sar-ba-sar ā.īna-e-mahshar
barī zohd-o-riyā se hai javān-e-pīr-e-mai-ḳhāna
tū saarī umr ab māthā ragaḌtā rah kaḌā ke kar
na Taale se Tale ai shaiḳh ye ta.azīr-e-mai-ḳhāna
dahā.ī sāqī-e-kausar kī ye haiñ nafs ke bande
jo vasl-e-hūr kī ḳhātir kareñ tahqīr-e-mai-ḳhāna
habāb-e-ḳhat-e-jām-o-qulqul-e-mīnā se sābit hai
vo hai tasbīh-e-mai-ḳhāna ye hai takbīr-e-mai-ḳhāna
girā jo ḳhisht-e-ḳhum par sar lab-e-kausar ne chūmā hai
ki hai taqsīr-e-mai-ḳhāna hī meñ tauqīr-e-mai-ḳhāna
na kyuuñ har qatra-e-mai mehr kī āñkhoñ kā taarā ho
ki barq-e-tūr kī hai ik chamak tanvīr-e-mai-ḳhāna
paḌī hai ik nazar jis par vo be-ḳhud ho gayā 'kaifī'
nigāh-e-mast-e-sāqī meñ hai kyā tāsīr-e-mai-ḳhāna
Top Urdushayar.com