duniyā meñ baqā nahīñ kisī ko
marnā ik roz hai sabhī ko
vo kaun hai jo hai aib se paak
kyā koī burā kahe kisī ko
ma.alūm hai va.ade kī haqīqat
bhulā lete haiñ apne jī ko
ḳhud nūr-e-ḳhudā ho tum meñ paidā
dil se kho do agar ḳhudī ko
sau aiboñ kā ek aib hai ye
iflās ḳhudā na de kisī ko
mushkil nahīñ koī kaam lekin
himmat lāzim hai aadmī ko
sach kah de ki hai qusūr kis kā
munsif maiñ ne kiyā tujhī ko
maanā ki sharāb chhoḌī 'kaifī'
aisā to kaho na mai-kashī ko