Dattatriya Kaifi

surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
sūrat-e-hāl ab to vo naqsh-e-ḳhayālī ho gayā
jo maqām mā-sivā thā dil meñ ḳhālī ho gayā
mumtana.a jo thā vo hai zeb-e-badāhat qalb ko
jo yaqīnī amr thā vo ehtimālī ho gayā
chhoḌī ḳhud-bīnī to ab har shai meñ husn aayā nazar
dīda-e-haq-bīñ jalālī se jamālī ho gayā
zauq-e-nazzāra ye hai āñkhoñ par ab rakhtā huuñ maiñ
zarre zarre ko jo nazar-e-pā.emālī ho gayā
zo.am aur pindār kā haq-ul-yaqīñ se hai badal
vo gharonda ab to fānūs-e-ḳhayālī ho gayā
aañkh uTh kar husn-e-qudrat se jo apne par ga.ī
sab ḳhudī kā rañg rañg-e-infi.ālī ho gayā
pahle is meñ sar thā ai samsām ishq aur jaan thī
kyūñki miltā tujh se aa ab haath ḳhālī ho gayā
ġhairat-e-dil-dāda-o-dil-dār kī jaatī rahī
ab to jo honā thā ai āqā-e-ālī ho gayā
vajah-e-ilm-e-zāt ho kyūñkar na irfān-e-sifat
kyā arz kī shaan jab jauhar se ḳhālī ho gayā
jo rahā ḳhuddār hone par ḳhudī se duur duur
vo dayār-e-ishq o dil-sozī kā vaalī ho gayā
hai ḳhatā us ko agar āshiq kaho tum jis kā ishq
ḳhatm jab us ne murād ik apnī pā lī ho gayā
jazba-e-īsār kyā quvvat amal kī phir kahāñ
jab shu.ūr insāñ kā sarf-e-lā-ubālī ho gayā
ai qadāmat-kesh sun ye ālam-e-ījād hai
naam jiddat kā azal meñ lā-yazālī ho gayā
chhoḌ kar lutf-e-suḳhan maġhz-e-suḳhan se kaam lo
kyā huā 'kaifī' jo garam-e-ḳhush-maqālī ho gayā
Top Urdushayar.com