batā.eñ kyā tujh ko chashm-e-pur-nam huā hai kyā ḳhuuñ aarzū kā
banā gul-e-dāġh-e-yās-o-hasrat jo dil meñ qatra bachā lahū kā
dabe jo ghuT ghuT ke dil meñ armāñ vo barq ban kar falak pe taḌpe
jo valvala jī meñ rah gayā thā vo bulbula ab hai āb-e-jū kā
abas hai to chāra-gar-e-pareshāñ na tujh se kuchh ban paḌegā darmāñ
ki ho to tār-e-nafas se sāmāñ jarāhat-e-dil ke ho rafū kā
khulā lab-e-gor se ye uqda ki ḳhvāb thī sab numūd-e-hastī
vuqūf nā-mahrūmī-e-manzil kamāl hai merī justujū kā
na tujh ko mast-e-havā-e-gulshan ḳhizāñ meñ ai andalīb dekhā
nahīñ tū shaidā.ī bāġh-o-gul kā magar fidā.ī hai rañg-o-bū kā
use na phir kuchh diyā dikhā.ī nazar paḌā vo jamāl jis ko
khulā haqīqat kā raaz jis par na us ko yaarā thā guftugū kā
hai naf-e-zāt aur nasḳh-e-hastī visāl-e-jānāñ kī shart-e-avval
bharā manāzir se hai jahāñ sab jo sirf darshan kā tū hai bhūkā
tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanūz dillī hai duur nādāñ
vahāñ tirā ḳhaak dil lagegā vo hai sarāsar makān hū kā
ḳhabar kise sub.h-o-shām kī hai ta.a.īnāt aur quyūd kaise
namāz kis kī vahāñ kisī ko ḳhayāl tak bhī nahīñ vuzū kā
nahīñ muhīt-e-rusūm-o-millat hai be-nishāñ manzil-e-haqīqat
vahāñ na simran kī hatkaḌī hai na tauq-e-zunnār hai gulū kā
haiñ ġharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat vahāñ hai 'kaifī' ye sab kī hālat
hai daḳhl saaqī kī bazm meñ kyā surāhī-o-sāġhar-o-subū kā