Dattatriya Kaifi

aah wo shoala hai jo ji ko bujha ke uTThe

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
aah vo sho.ala hai jo jī ko bujhā ke uTThe
dard vo fitna hai jo dil ko biThā ke uTThe
aap kī yaad meñ ham ai sanam-e-ġhaflat-kesh
aise baiThe ki qayāmat hī uThā ke uTThe
ek duzdīda-nazar se mirā dil chhīn ke vaah
tum kidhar ko mirī jaañ aañkh bachā ke uTThe
arsa-e-hashr tak ik lag gayā tāñtā un kā
murde qabroñ se jo tere shohdā ke uTThe
ramazāñ kyūñki baras-bhar ko samajh baiTheñ ham
aa.e din ke bhī kisī se ye kaḌāke uTThe
dil-nashīñ rahmat-e-haq jab se huī hai 'kaifī'
daġhdaġhe dil se mire roz-e-jazā ke uTThe
Top Urdushayar.com