Dattatriya Kaifi

sare ushshaq se hum achchhe hain

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
saare ushshāq se ham achchhe haiñ
haañ tire sar kī qasam achchhe haiñ
uljhā hī rahne do zulfoñ ko sanam
jo na khul jaa.eñ bharam achchhe haiñ
koī jañchtā nahīñ us but ke sivā
aur bhī yuuñ to sanam achchhe haiñ
hashr tak mujh ko jalā.e rakkhā
ye hasīnoñ ke bhī dam achchhe haiñ
bahs ho jaa.e to sab par khul jaa.e
haiñ bhale aap ki ham achchhe haiñ
ġhair kī kuchh nahīñ shirkat is meñ
ham ko ye tere sitam achchhe haiñ
jiite haiñ ārzū-e-qatl meñ ham
dam tire teġh-e-do-dam achchhe haiñ
na huā ka.abe kā dīdār nasīb
ham se āhū-e-haram achchhe haiñ
ḳhuub hai vaqt jo kaT jaatā hai
jo guzar jaate haiñ dam achchhe haiñ
pūchhte kyā haiñ mizāj-e-'kaifī'
aap kā lutf-o-karam achchhe haiñ
Top Urdushayar.com