yā ilāhī mujh ko ye kyā ho gayā
dostī kā terī saudā ho gayā
dostī kyā ham-sarī kā dhyān hai
qaid se āzād itnā ho gayā
kaisī āzādī asīrī chiiz kyā
jab fanā rañg-e-tamannā ho gayā
jab tamannā aur Dar jaatā rahā
to har ik shai se mubarrā ho gayā
yuuñ mubarrā ho ga.ī jab koī zaat
band phir naġhma sifat kā ho gayā
jab huā ausāf se koī barī
aib kyūñkar us meñ paidā ho gayā
ḳhud-parastī is ko yā jo kuchh kaho
ab to ye aalam hamārā ho gayā
be-ḳhudī ne mahv-e-hairat kar diyā
aap meñ apnā tamāshā ho gayā
jis ko dekhā aap hī aayā nazar
rañg ab 'kaifī' ye apnā ho gayā