Dattatriya Kaifi

jis ko KHabar nahin use josh-o-KHarosh hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955

jis ko ḳhabar nahīñ use josh-o-ḳharosh hai

jo gayā vo raaz vo gum hai ḳhamosh hai

hai ek shor-e-bulbul-o-saut-e-shagufta-gul

ye sūrat-e-āfiyat hai vo yāsīn-e-hosh hai

aa.ī thī shakl dil ke jo aa.ina meñ nazar

band aañkh is se aur zabāñ bhī ḳhamosh hai

ye haal ho ki aap meñ aalam ko dekh le

gar dil meñ tere ishq kasrat josh hai

kab hai kamāl-e-ishq pe haavī ġham-e-firāq

ek ek zarra qais ko mahmil ba-dosh hai

vārafta-e-havā-e-tarab yaad rakh use

jo dard khaTak hai naved-e-sharosh hai

barq-e-jamāl nāfe-e-mā-o-shumā huī

kyā zikr-e-sham-e-tūr ki vo bhī ḳhamosh hai

kyā hai tirā hudūs-o-qidam ham to haiñ vahāñ

hastī jahāñ adam ke liye ḳhvāb-nosh hai

ushshāq jaama pahne haiñ taslīm-e-ishq

dastār-o-jubba shaiḳh haañ pardā-posh hai

tere jahāñ se mahfil-e-rindāñ judā hai shaiḳh

har ek muġhbacha yahāñ kasr-e-farosh hai

saaqī ek nazar hameñ mast kar ga.ī

kis ko surāhī-o-ḳham-o-sāġhar hosh hai

amrit ke jhāle mar kiyā lā-taqnatū haiñ

is bazm meñ ye mashġhala-e-nāo-nosh hai

'kaifī' ye ahl-e-dahr se kah do pukār kar

is bazm meñ vo aa.e ki jo sarfarosh hai

Top Urdushayar.com