maqsad hāsil nahīñ ho yā ho
jo honā hai jald ai ḳhudā ho
ulfat hai pās-e-vaz.a kā naam
marte mar jaao par nibāho
dil meñ nahīñ ḳhuub mail rakhnā
jo shikva gila ho barmalā ho
kyā hotā hai farsh boriyā se
lāzim hai ki qalb be-riyā ho
ik jaam hī to pilā de lillāh
ai pīr-e-muġhāñ terā bhalā ho
darkār use madad hai kis kī
jis ko allāh kā aasrā ho
us dil kī jalan jo dekh paa.e
sham-e-sozāñ charāġh-pā ho
kyā aur bhalā kahūñ maiñ tum ko
tum hazrat-e-ishq bad-balā ho
kahne ko to kah ga.e ho sab kuchh
ab koī javāb de to kyā ho
dil ziist se sard ho gayā hai
ai soz-e-jigar tirā burā ho
be-aib koī nahīñ hai 'kaifī'
gar ho to vo zāt-e-kibriyā ho