mujh meñ merī zaat bhī rakkhī huī hai dost
chhoḌ ye baat to aur bhī uljhī huī hai dost
ham logoñ ko paanī achchhā lagtā hai
ham logoñ ne miTTī pahnī huī hai dost
kitnā saj-dhaj kar mahfil meñ aayā huuñ
merī vahshat ghar par rakkhī huī hai dost
is tasvīr kā lahja dekh rahā hai tū
ye tasvīr bhī mujh se rūThī huī dost
vo laḌkī jo sab se ziyāda hañs rahī hai
us kī āñkheñ dekh vo roī huī hai dost
jis bakse meñ tere suiT rakhe haiñ nā
us meñ merī jeans bhī rakkhī huī hai dost