surḳh miTTī ko havāoñ meñ uḌāte hue ham
apnī aamad ke liye dasht sajāte hue ham
tujh tabassum kī mohabbat meñ hue haiñ barbād
muskurā.eñge tirā sog manāte hue ham
lā-makānī meñ hameñ chhoḌ ke jaatā huā tū
dasht-e-imkāñ se tujhe DhūñD ke laate hue ham
ai ḳhudā tū hī batā kaise kareñge inkār
ālam-e-hū meñ tujhe haath lagāte hue ham
raqs karte haiñ to miTTī to uḌegī pyāre
un ko lagte haiñ karāmāt dikhāte hue ham
apne hone se bhī inkār kiye jaate haiñ
tere hone kā yaqīñ ḳhud ko dilāte hue ham
ab ai vahshat meñ guñdhī ḳhaak rakhī chaak pe aur
apne hone ke liye chaak ghumāte hue ham
hālat-e-vajd ke hālāt batā baat ho to
hālat-e-hāl meñ tafrīh uThāte hue ham
ḳhāmushī shor haiñ aur shor balā kā 'sarmad'
tum ne dekhe haiñ kahīñ shor machāte hue ham