Naeem Sarmad

KHuda se bhi kab koi furqat kaTi hai

Naeem Sarmad

Uttar pradesh, India

1992
ḳhudā se bhī kab koī furqat kaTī hai
shab-e-hijr shab se bhī pahle banī hai
maiñ ik ḳhvāb huuñ terā dekhā huā huuñ
tū ik niiñd hai mujh meñ soī paḌī hai
havas to nahīñ hai magar ye thī sach hai
mujhe tujh badan kī tamannā rahī hai
mujhe is se āzād kar dūsrī lā
ye zanjīr pairoñ meñ kam boltī hai
maiñ apne gunāhoñ pe nādim nahīñ huuñ
ye tauba to terī mohabbat meñ kī hai
Top Urdushayar.com