ḳhud ko murshid maan le pyāre kyuuñ aur kyā kā bhed samajh
apnī sūrat taktā rah aur phir kaisā kā bhed samajh
tujh se baḌh kar dasht nahīñ hai tujh se baḌh kar gor nahīñ
is jañgal meñ aa us gor meñ rah maulā kā bhed samajh
jānñe vaale mānñe vāloñ se afzal hai dhyān rahe
majnūñ mat ban hosh meñ rah aur phir laila kā bhed samajh
paanī sar se uupar chaḌhne de sāñsoñ kī maalā phir
do jaan hotā maiñ baiTh aur dil dariyā kā bhed samajh
har iqrār se pahle ik inkār kī hifāzat hotī hai
allāh ke bande allāh se pahle lā kā bhed samajh