Naeem Sarmad

ab ke mausam mein tera shahr wo kaisa hoga

Naeem Sarmad

Uttar pradesh, India

1992
ab ke mausam meñ tirā shahr vo kaisā hogā
merī marzī ke binā chāñd nikaltā hogā
kaise kah duuñ ki mujhe kis ne haiñ barbād kiyā
apnā aayā ho mirī baat se ruḳhsat hogā
ye koī baat hai jo tujh ko batā.ī jaa.e
shaam ke vaqt udāsī kā sabab kyā hogā
ab kī sardī meñ kahāñ hai vo alaav siina
ab kī sardī meñ mujhe ḳhud ko jalānā hogā
tujh se milne kī ka.ī din se tamannā hai mujhe
tū kabhī jism se bāhar to nikaltā hogā
Top Urdushayar.com