Maikash Nag Puri

zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai

Maikash Nag Puri

zamīñ ke chāñd-sitāroñ ko niiñd aatī hai
hayāt-baḳhsh bahāroñ ko niiñd aatī hai
abhī chaman kā muqaddar chamak nahīñ saktā
abhī chaman kī bahāroñ ko niiñd aatī hai
janāza ashkoñ kā palkoñ ke dosh par hai abhī
isī liye to nazāroñ ko niiñd aatī hai
nizām-e-bazm-e-gulistāñ badal gayā shāyad
chaman kī god meñ ḳhāroñ ko niiñd aatī hai
ab inqilāb-e-zamāna kī fikr kaun kare
tirī nigāh ke māroñ ko niiñd aatī hai
na Duub jaa.e kahīñ nabz-e-zindagī 'maikash'
sahar kā vaqt hai tāroñ ko niiñd aatī hai
Top Urdushayar.com